|
Haal-e-Dil
Shukriya Salam Bhai,
Chand ashaar aur pesh hain.
Haal-e- dil ek baar sun jaana
Ek ahsaan mujh pe kar jaana
Mujhko ik baar tum kaho apna
Chaahe fir baat se mukar jaana
Teri aankhon me mera aks na ho
Is se behtar yahi hai mar jaana
Tera har gham main apna samjhunga
Tumne apna mujhe agar maana
Chaah baaki hai,rakh ke so jaaoon
Tere seene pe apna sar jaana
skt/02/07/2012
__________________
skt
Last edited by sunil_telang : 07-02-2012 at 09:18 AM.
|