|
tu bhi jayega...
tu bhi jayega, akela hi jayega,
saath tere kuchh nahi aayega.
kaun bachaa hai, jo tu bach payega,
tu bhi jayega akela hi jayega.
raja rani daas gaye hai,
ashok akbar midas gaye hai.
dhan sampatti sab yahin chhod gaye,
rishtey naate saare tod gaye.
woh nahi le jaa paye, tu kya le jayega?
tu bhi jayega, akela hi jayega...
sadiyon tak kamaya sirf dhan kamaya,
bhav saagar mein atka, har bhav ganvaya.
chhal se loota bal se loota,
par jab waqt aaya, tab dhan bhi chhoota.
dhan ka bojh nahi utha paya,
karmo ka bojh kya uthayega?
tu bhi jayega, akela hi jayega...
haathi ghoda bangla gaadi,
khet khalihaan patte aur jhaadi.
saath nahi sab yahin rahaa hai,
sun lo sabhi santo ne kaha hai.
mitti se bana hai, mitti mein samayega,
tu bhi jayega, akela hi jayega...
roop anokha sunder hai kaya,
bhool na jana yeh sab hai maya.
do din ka mela hai, phir kya jhamela hai?
rahi ke haatho mein karmo ka thela hai.
woh din phir aayega...
jab lakdiyon ke saath tu bhi jal jayega.
tu bhi jayega, akela hi jayega...
rishtey naate dost saathi,
do din ke hai yeh saare baraati,
dhan dekh tujhko sab pooje,
dhan jaye ho jaye sab dooje.
saath nahi dega koi,
jab yam tujhe darayega.
tu bhi jayega, akela hi jayega...
|