hai dard hame bhi tumse door jane ka...
kya kare ki yehi dastoor hai is zamane ka..
pyar aur pariwar me kuch ulajh se gae hai....
na chain hai na sookoon
bas intazar hai is waqt ke guzar jane ka...
hum nahi jante the ki pyar ki manzil itni unchi hogi...
jaha se apne hi na dikhe
to kya faida itni unchaiyo pe jane ka.
Beshak keh le tu bewafa mujhko...
rooswa kar de is zamane me mujhko...
tu yaad rahegi mujhe ek khwab ki tarah..
jisne zindagi ka ehsas dilaya hai mujhko
kaanch ka bana ye dil, use toot hi jana tha...
pyar hum shayad nibha na sake par farz to zaroor nibhana tha...
kaise chhod de hum un haato ko
jinhe pakad kar humne jina sikha tha
jab bhi hum ladkhadae
hame har kadam par sambhala tha...
kahne ko to bas pariwar hi hai.
par jinhe khuda hamne mana tha..
