|
Chup na rahnaa, basheer baansuriyo!
Khush raho, khoob jiyo, khoob jiyo!
Zindagee kaa hareik ghoont piyo!!
Koun kahtaa hai, 'Zindagee kam hai'?
Din hain, raateyn hain, zeyhn kee pariyo!
Woh ishaaroun mujhey bulaataa hai:
Chup na rahnaa, basheer baansuriyo!
Aa rahey hain sanam safeeney sey:
Kyoun kinaaron sey door ho, nadiyo!
Khoon bahtaa hai, 'abd', bah jaaye:
Qasb hain, par tabeeb, tum na siyo!
- abd bundeli
|