|
Kyoun dour-e-noor-e-husn sey hoti naheen hai oob?
Ab tujhsey kyaa chhupaauun dour-e-qabra ugey doob?
Yeh sach hai, saaqiyah pilaa chukee hai mujhey khoob!
In lamhoun kaa bhi zikra karuungaa zaroor main;
Kyoun dour-e-noor-e-husn sey hoti naheen hai oob?
Har simt deykhtaa hun qayaamat kee khoonkasee:
Kyaa ho gayaa hai aaj aadmee ko, ay Aiyoob*!
Dikhtey hain laamband kabhee mashriq-o-shimaal;
Lagtey hain laamband kabhee magrib-o-junoob!
Hai door aashiyaanah-ae-bakaa, ao' nazar-e-naaz!
Bahr-e-uyoon mein na, sanam, jaaye 'abd' doob?
*Aik paigambar kaa naam, jinhain beyintihaa sabramand (sabra-e-Aiyoob) kahaa jaataa hai! Wey sabra-o-shukra key himaayatee kahey jaatey hain!
- abd bundeli
|