Kab ki Hawaa ban gayee
Wo churaane laga, mere laboon ki laali,,,,
Mein laali bachaate-bachaate, badnaam ho gayee.
Wo churaane laga, mere jism ki khushboo,,,,
Mein khushboo sambhalte-sambhalte, sar~e~aam ho gayee.
Wo paana chaahta tha, jis Bhookh ko mujhme,,,,
Mein uss bhookh ki raah ko paakar, gulistaan ho gayee.
Wo ek baar kehta to sahi, apni dil~e~aarjoo ko,,,,
Mein uss aarzoo ki shaakh par, fanaah ho gayee.
Gum~e~manzar itna hi sahi, uski chaahat ke aagey,,,,,
Ki "kaash wo mila hota pehle", to ye jism aur jaan uski adab mein.. kab ki "hawaa" ban gayee.
__________________
Mrs. Praveen Gola
©
|