|
jaa ab tera khayal mujhay bhi nahi raha
teri tarha melal mujhay bhi nahi raha
jaa ab tera khayal mujhay bhi nahi raha
tu ne bhi mausamon ki pazeerai chorr di
ab shauq e mah e visaal mujhay bhi nahi raha
mera jawab kia tha tujhay bhi khabar nahi
yaad ab tera sawal mujhay bhi nahi raha
jis baat ka khayaal na tu ne kabhi kia
us baat ka khiyal mujhay bhi nahi raha
tora hai tu ne jab se meray dil ka aaina
andaza e jamal mujhay bhi nahi raha

Quote:
|
Originally Posted by Daisy
very nice hearts bro..
|
|