sataa sataa ke humein ashk-baar karti hai
tumhaari yaad boht be-qaraar karti hai
wo din jo saath guzaare the pyaar ke humnein
talaash unko nazar baar baar karti hai
gilaa nahin jo nasiboan ne kar diya hai juda
teri judaaii bhi ab ham ko pyaar karti hai
kinaare bethke jiske kiye the qaul-o-qaraar
nadi vo ab bhi tera intezaar karti hai