Quote:
|
Originally Posted by shakirlove
Raaton Mein Agar Ashq Naa Bahau To Kya Karu,
Ik Pal Bhii Us Ko Bhool Naa Pau To Kya Karu,
Maine Suna Hain Unko Pasand Nahii Andhere,
Raaho Mein Ab Main Dil Naa Jalau To Kya Karu,
Socha To Tha Kii Chhod Du Us Kii Gali,
Lekin aapke bina Kahin Qarar Naa Pau To Kya Karun
|
Sahil ji Itna jaldi Surrender kar diya Lol koshish toh karte
Inn Hazaron Ki Duniya Mein Tumhara Hi Chehra Kyun Nazar Aata Hai
Dil Akela Hi Reh Gaya Hai Phir Bhi Uska Ehsaas Hi Nazar Kyu Aata Hai
Toofan Mein Bhi Yeh Saagar Viran Nazar Kyun Aata Hai
Baarish Ke Mausam Mein Bhi Mera Mann Kyu Sukha Viran Nazar Aata Hai
AKeli Hun Mai Phir Bhi Woh Kyun MUjhe Mere Paas Nazar Aata Hai
Chah Ke Bhi Dur Nahi Ho Paa Rahi Mai Usse
Kyun Woh Baar Baar Mere Khwabon Mein Nazar Aata Hai
Dil Tod Diya Usne Mera Tab Bhi Woh Mujhe Apna Pyar Kyu Nazar Aata Hai
Kaisa Yeh Ehsaas Hai Pyar Ka Ki Woh Humko Tod Ke Jaata Hai
Wohi Kyun Hamein Apna Pyar Sansar Nazar Aata Hai