|
terey dill k naam karna hai
mera khayal, terey dill k naam karna hai
k phool bann k ussi mai qayam karna hai
raha hai raaj sada, jiss chaman mai kanton ka
wahan pe phoolon ki khushboo ko aam karna hai
tamam raat jala karr shamaa ne mujhse kaha
ye kaam phir se tujhey aaj shaam karna hai
kitab e dil ko koi naam de na paya tha
tera hii haqq tha usey terey naam karna hai
bhulaye baithain hain aapas k bhaii charey ko
usii sabaq ko hamain phir se aam karna hai
gira k rakkha jahan bharne terey shayar ko
usey nazar se utthane ka kaam karna hai
rah_e_wafa mai bhala kaun sath de paya
tujhe bhi kyun abb kisi ko salam karna hai
__________________
Ghalat Nahin zamane main Lajawaab hain Hum!Samaj sake na koi....
wo kitaab hain Hum!!!
|