Do berozgaar doston ki naukari lag gayi.
tankhaav waale din dono khushi khushi ek doosre se mile.
pehla: ahaa ahaa! kya baat hai bhai! aaj to paise bahut khanak rahe hain,kahan job lagi!
doosra: chhod yaar! kuch aur baat kar!
pehla: are kya yaar! tu bhi na,bata na !
doosra: nahi ! kuch aur baat kar yaar!
pehle: achha main nahi bata raha isilie na! are mere ko jasoosi ka kaam mil gaya hai yaar,ek uncle ne apni wife ki jasusi ka kaam dia hai!
ab tu to bata na teri kahan job lagi! tujhe to mujhse bhi zyada rakam mili hai!
doosra: are kya bataun yaar. us uncle ki wife ne mujhe teri hi jasoosi karne ke lie rakha hai.
